mata-o-mal jo le jae to ghanimat hai
matā-o-māl jo le jaa.e to ġhanīmat hai
vo apnī jaan bachā laa.e to ġhanīmat hai
phaloñ kā aa.egā mausam to phal bhī ā.eñge
daraḳht detā rahe saa.e to ġhanīmat hai
kabhī to umr guzar jaatī hai nahīñ aatī
shu.ūr vaqt pe aa jaa.e to ġhanīmat hai
kabhī jo dard meñ Duubī huī sadā ubhre
samā.atoñ se na Takrā.e to ġhanīmat hai
ye ġham jo us ne diyā hai hunar se mere 'shakīl'
mizāj-e-sher meñ Dhal jaa.e to ġhanīmat hai
mata-o-mal jo le jae to ghanimat hai
wo apni jaan bacha lae to ghanimat hai
phalon ka aaega mausam to phal bhi aaenge
daraKHt deta rahe sae to ghanimat hai
kabhi to umr guzar jati hai nahin aati
shuur waqt pe aa jae to ghanimat hai
kabhi jo dard mein Dubi hui sada ubhre
samaaton se na Takrae to ghanimat hai
ye gham jo us ne diya hai hunar se mere 'shakil'
mizaj-e-sher mein Dhal jae to ghanimat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.