mataa-e-jurat-e-dil waqf-e-yak-nigah-e-karam
matā.a-e-jur.at-e-dil vaqf-e-yak-nigāh-e-karam
vajūd be-sar-o-sāmāñ rahīn-e-mulk-e-adam
ḳhayāl-e-āriz-e-tābān-o-qalb ḳhūñ-gashta
shuā-e-mahr-e-daraḳhshāñ kī zad pe hai shabnam
vo mere jazb kā aalam vo ek na.ara-e-hū
ki jis se kaañp ga.e bām-hā-e-dair-o-haram
mirī hikāyat-e-hastī mirā ye qissa-e-shauq
hai mājrā-e-junūñ dāstān-e-hads-o-qadam
hai barmalā dil-e-āshiq pe rāz-e-kun-fa-yakūn
yahī hai un ke gadāoñ ko misl-e-sāġhar-e-jam
sunā hai ahl-e-junūñ vaqt se bhī tez ga.e
haiñ sabt sīna-e-ayyām par nuqūsh-e-qadam
chamak rahā hai nigāhoñ meñ aaj tak ḳhanjar
na pūchhiye kisī bismil ke shauq kā aalam
aḳhīr rasm bhī shahr-e-vafā kī ḳhatm huī
dahān-e-zaḳhm pe koī na rakh sakā marham
kisī ko yaad nahīñ 'barq' aniis kā misrā
ḳhayāl-e-ḳhātir-e-ahbāb chāhiye har-dam
mataa-e-jurat-e-dil waqf-e-yak-nigah-e-karam
wajud be-sar-o-saman rahin-e-mulk-e-adam
KHayal-e-ariz-e-taban-o-qalb KHun-gashta
shua-e-mahr-e-daraKHshan ki zad pe hai shabnam
wo mere jazb ka aalam wo ek nara-e-hu
ki jis se kanp gae baam-ha-e-dair-o-haram
meri hikayat-e-hasti mera ye qissa-e-shauq
hai majra-e-junun dastan-e-hads-o-qadam
hai barmala dil-e-ashiq pe raaz-e-kun-fa-yakun
yahi hai un ke gadaon ko misl-e-saghar-e-jam
suna hai ahl-e-junun waqt se bhi tez gae
hain sabt sina-e-ayyam par nuqush-e-qadam
chamak raha hai nigahon mein aaj tak KHanjar
na puchhiye kisi bismil ke shauq ka aalam
aKHir rasm bhi shahr-e-wafa ki KHatm hui
dahan-e-zaKHm pe koi na rakh saka marham
kisi ko yaad nahin 'barq' anis ka misra
KHayal-e-KHatir-e-ahbab chahiye har-dam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.