mataa-e-kaun-o-makan tum nahin to kuchh bhi nahin
matā.a-e-kaun-o-makāñ tum nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ġharaz ye saarā jahāñ tum nahīñ to kuchh bhī nahīñ
tumhārī zau se ziyā-pāsh haiñ mah-o-anjum
daraḳhsh-e-kāhkashāñ tum nahīñ to kuchh bhī nahīñ
kisī ke vāste hogā magar ye mai-ḳhāna
hamāre vāste yaañ tum nahīñ to kuchh bhī nahīñ
tumhāre hone se haiñ raunaqeñ zamāne kī
magar ye sach hai ki haañ tum nahīñ to kuchh bhī nahīñ
tumhāre dam se hai vābasta shā.erī merī
mirā ye husn-e-bayāñ tum nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ye kal kī baat hai 'betāb' kitnī raunaq thī
ik aaj hai ki amaañ tum nahīñ to kuchh bhī nahīñ
mataa-e-kaun-o-makan tum nahin to kuchh bhi nahin
gharaz ye sara jahan tum nahin to kuchh bhi nahin
tumhaari zau se ziya-pash hain mah-o-anjum
daraKHsh-e-kahkashan tum nahin to kuchh bhi nahin
kisi ke waste hoga magar ye mai-KHana
hamare waste yan tum nahin to kuchh bhi nahin
tumhaare hone se hain raunaqen zamane ki
magar ye sach hai ki han tum nahin to kuchh bhi nahin
tumhaare dam se hai wabasta shaeri meri
mera ye husn-e-bayan tum nahin to kuchh bhi nahin
ye kal ki baat hai 'betab' kitni raunaq thi
ek aaj hai ki aman tum nahin to kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.