matin chehra nigah dard-ashna na lage
matīn chehra nigah dard-āshnā na lage
ḳhudā kare ki tujhe merī badduā na lage
kisī jarāhat-e-tāza kā muntazir hai dil
chale ḳhadang-e-jafā dosto nishāna lage
vo shaah ho ke bhī shāhī vaqār se mahrūm
maiñ vo gadā jo gadā ho ke bhī gadā na lage
jo irtiqā ke manāzil haiñ jāntā huuñ maiñ
mujhe to sang bhī insān se judā na lage
batā sako to batāo ki haal kyā hogā
gadā ke haath kabhī gar koī ḳhazāna lage
'valī' ko aap 'valī' kahte haiñ 'valī' hogā
magar mujhe to vo kuchh aisā pārsā na lage
matin chehra nigah dard-ashna na lage
KHuda kare ki tujhe meri baddua na lage
kisi jarahat-e-taza ka muntazir hai dil
chale KHadang-e-jafa dosto nishana lage
wo shah ho ke bhi shahi waqar se mahrum
main wo gada jo gada ho ke bhi gada na lage
jo irtiqa ke manazil hain jaanta hun main
mujhe to sang bhi insan se juda na lage
bata sako to batao ki haal kya hoga
gada ke hath kabhi gar koi KHazana lage
'wali' ko aap 'wali' kahte hain 'wali' hoga
magar mujhe to wo kuchh aisa parsa na lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.