matla-e-subh pe chhai hai siyahi kaisi
matla.a-e-sub.h pe chhā.ī hai siyāhī kaisī
shahr rah rah ke ye letā hai jamāhī kaisī
qarz-e-jāñ aaj chukā deñge magar ye to batā
zindagī maiñ ne tire saath nibāhī kaisī
muddateñ guzrīñ vo ghar chhoḌ chukā hai phir bhī
in darīchoñ meñ hai betāb-nigāhī kaisī
kitnī mahdūd thiiñ mazlūm saroñ kī fasleñ
qatl-gāheñ thiiñ magar lā-mutanāhī kaisī
ittifāqāt haiñ ai shahr-e-siyāsat varna
ham faqīroñ ke liye masnad-e-shāhī kaisī
kis qadar kaaT hai ḳhāmosh-labī meñ 'sāġhar'
jang be-teġh bhī laḌtā hai sipāhī kaisī
matla-e-subh pe chhai hai siyahi kaisi
shahr rah rah ke ye leta hai jamahi kaisi
qarz-e-jaan aaj chuka denge magar ye to bata
zindagi main ne tere sath nibahi kaisi
muddaten guzrin wo ghar chhoD chuka hai phir bhi
in darichon mein hai betab-nigahi kaisi
kitni mahdud thin mazlum saron ki faslen
qatl-gahen thin magar la-mutanahi kaisi
ittifaqat hain ai shahr-e-siyasat warna
hum faqiron ke liye masnad-e-shahi kaisi
kis qadar kaT hai KHamosh-labi mein 'saghar'
jang be-tegh bhi laDta hai sipahi kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.