matlab na subh se na gharaz koi sham se
matlab na subh se na gharaz koi sham se
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
matlab na sub.h se na ġharaz koī shaam se
apnī to zindagī hai faqat daur-e-jām se
vāqif hai kaun ġhuncha-o-gul ke maqām se
sehn-e-chaman meñ phaile hue haiñ jo daam se
hotī nahīñ hai jin ko mayassar shab-e-nashāt
sub.h-e-bahār ke liye rote haiñ shaam se
duniyā samajh ga.ī hai ki hai ye fareb-e-zīst
Darne lage haiñ log mohabbat ke naam se
tār-e-nafas kī lai pe hai āvāz-e-zindagī
naġhme baraste rahte haiñ sāz-e-davām se
azm-e-samīm le ke nikaltā huuñ jab kabhī
manzil dikhā.ī detī hai do-chār gaam se
hotī chalī hai jab se tabī.at junūñ-navāz
rahne lagā huuñ duur ḳhirad ke maqām se
sāda-dilī nahīñ to ise aur kyā kaheñ
ham ġham uThā rahe haiñ masarrat ke naam se
'ḳhushtar' mileñge sab mire hālāt-e-zindagī
ḳhud aap jāñch lījiye mere kalām se
matlab na subh se na gharaz koi sham se
apni to zindagi hai faqat daur-e-jam se
waqif hai kaun ghuncha-o-gul ke maqam se
sehn-e-chaman mein phaile hue hain jo dam se
hoti nahin hai jin ko mayassar shab-e-nashat
subh-e-bahaar ke liye rote hain sham se
duniya samajh gai hai ki hai ye fareb-e-zist
Darne lage hain log mohabbat ke nam se
tar-e-nafas ki lai pe hai aawaz-e-zindagi
naghme baraste rahte hain saz-e-dawam se
azm-e-samim le ke nikalta hun jab kabhi
manzil dikhai deti hai do-chaar gam se
hoti chali hai jab se tabiat junun-nawaz
rahne laga hun dur KHirad ke maqam se
sada-dili nahin to ise aur kya kahen
hum gham uTha rahe hain masarrat ke nam se
'KHushtar' milenge sab mere haalat-e-zindagi
KHud aap jaanch lijiye mere kalam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.