matlab pata nahin tha batane chale gae
matlab patā nahīñ thā batāne chale ga.e
ham 'ishq karke 'ishq nibhāne chale ga.e
ham ne nazar ko apnī Tikāyā thā chāñd par
phir ḳhvāb le ke chāñd ko paane chale ga.e
us ko ajab se haal meñ dekhā thā ek din
mausam se phir ye rañg suhāne chale ga.e
ab peḌ ḳhud kī chhāñv meñ baiThā hai rāt-din
sab log duur shahr kamāne chale ga.e
ham jaisā koī 'ishq meñ majnūñ nahīñ bane
lailā ko us ke ghar pe bulāne chale ga.e
ham se to dushmanī bhī na ho paa.ī Thiik se
Thokar lagī jo tujh ko uThāne chale ga.e
majbūriyoñ ne mujh ko badal kar ke rakh diyā
tevar mirī zabāñ se purāne chale ga.e
matlab pata nahin tha batane chale gae
hum 'ishq karke 'ishq nibhane chale gae
hum ne nazar ko apni Tikaya tha chand par
phir KHwab le ke chand ko pane chale gae
us ko ajab se haal mein dekha tha ek din
mausam se phir ye rang suhane chale gae
ab peD KHud ki chhanw mein baiTha hai raat-din
sab log dur shahr kamane chale gae
hum jaisa koi 'ishq mein majnun nahin bane
laila ko us ke ghar pe bulane chale gae
hum se to dushmani bhi na ho pai Thik se
Thokar lagi jo tujh ko uThane chale gae
majburiyon ne mujh ko badal kar ke rakh diya
tewar meri zaban se purane chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.