mauj-dar-mauj nazar aata tha sailab mujhe
mauj-dar-mauj nazar aatā thā sailāb mujhe
paañv Daalā to ye dariyā milā pāyāb mujhe
but to duniyā ne ba-har-gām tarāshe lekin
sar jhukāne ke na aa.e kabhī ādāb mujhe
shiddat-e-karb se kumhlā ga.e chehre ke ḳhutūt
ab na pahchān sakeñge mire ahbāb mujhe
ek saaya ki mujhe chain se sone bhī na de
ek āvāz ki kartī rahe betāb mujhe
jis kī ḳhvāhish meñ kisī baat kī ḳhvāhish na rahe
aisī jannat ke dikhā.e na koī ḳhvāb mujhe
vus.ateñ dāman-e-sahrā ko bhī baḳhshī hotīñ
tū ne baḳhshī thī agar fitrat-e-sīmāb mujhe
mauj-dar-mauj nazar aata tha sailab mujhe
panw Dala to ye dariya mila payab mujhe
but to duniya ne ba-har-gam tarashe lekin
sar jhukane ke na aae kabhi aadab mujhe
shiddat-e-karb se kumhla gae chehre ke KHutut
ab na pahchan sakenge mere ahbab mujhe
ek saya ki mujhe chain se sone bhi na de
ek aawaz ki karti rahe betab mujhe
jis ki KHwahish mein kisi baat ki KHwahish na rahe
aisi jannat ke dikhae na koi KHwab mujhe
wusaten daman-e-sahra ko bhi baKHshi hotin
tu ne baKHshi thi agar fitrat-e-simab mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.