mauj-dar-mauj wo aawaz sunai degi
mauj-dar-mauj vo āvāz sunā.ī degī
kaan gauhar hī nahīñ saarī ḳhudā.ī degī
vo jasārat pe tirī āg-bagūlā hogī
kāñpte hāthoñ meñ phir dast-e-hinā.ī degī
ye zamīñ dekhne meñ sabz nazar aatī hai
do qadam aur chalo soḳhta-pā.ī degī
āḳhirash daar pe gardan meñ paḌegī rassī
ḳhud hī aa.egī tire haq meñ safā.ī degī
bahr-e-ahmar kī havā hai ise kyoñ rokte ho
nange ashjār ko malbūs tilā.ī degī
ye na samjho usī par ḳhatm hue us ke sitam
le ke bāñhoñ meñ tumheñ dāġh-e-judā.ī degī
tiira zindāñ meñ rahegā dam-e-āḳhir baaqī
aa.egī chāñdnī ke rath pe rihā.ī degī
ābida thī isī tārīk galī meñ Duubī
sub.h ho jaa.e sar-e-shāḳh dikhā.ī degī
mauj-dar-mauj wo aawaz sunai degi
kan gauhar hi nahin sari KHudai degi
wo jasarat pe teri aag-bagula hogi
kanpte hathon mein phir dast-e-hinai degi
ye zamin dekhne mein sabz nazar aati hai
do qadam aur chalo soKHta-pai degi
aaKHirash dar pe gardan mein paDegi rassi
KHud hi aaegi tere haq mein safai degi
bahr-e-ahmar ki hawa hai ise kyon rokte ho
nange ashjar ko malbus tilai degi
ye na samjho usi par KHatm hue us ke sitam
le ke banhon mein tumhein dagh-e-judai degi
tera zindan mein rahega dam-e-aKHir baqi
aaegi chandni ke rath pe rihai degi
aabida thi isi tarik gali mein Dubi
subh ho jae sar-e-shaKH dikhai degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.