mauj-e-dariya ki tarah raqs-kunan rahte hain
mauj-e-dariyā kī tarah raqs-kunāñ rahte haiñ
ham se mat pūchhiye kis vaqt kahāñ rahte haiñ
dil kī betābiyāñ ma.ashūq nayā chāhtī haiñ
us taraf chal ki jahāñ māh-ruḳhāñ rahte haiñ
sar-bulandī hai muqaddar se amal se hāsil
haañ ta.āqub meñ to kotāh-qadāñ rahte haiñ
kaash ho jaa.e kabhī ham se koī kaar durust
zindagī meñ to bahut kār-e-ziyāñ rahte haiñ
ham ko patthar na samjhiye ki haiñ motī ham log
sab se chhup-chhup ke tah-e-āb-e-ravāñ rahte haiñ
jhuriyāñ jild pe aane se buzurgī kaisī
ham to andar kī harārat se javāñ rahte haiñ
mauj-e-dariya ki tarah raqs-kunan rahte hain
hum se mat puchhiye kis waqt kahan rahte hain
dil ki betabiyan mashuq naya chahti hain
us taraf chal ki jahan mah-ruKHan rahte hain
sar-bulandi hai muqaddar se amal se hasil
han taaqub mein to kotah-qadan rahte hain
kash ho jae kabhi hum se koi kar durust
zindagi mein to bahut kar-e-ziyan rahte hain
hum ko patthar na samjhiye ki hain moti hum log
sab se chhup-chhup ke tah-e-ab-e-rawan rahte hain
jhuriyan jild pe aane se buzurgi kaisi
hum to andar ki hararat se jawan rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.