mauj-e-dariya pe chha raha hai ye kaun
mauj-e-dariyā pe chhā rahā hai ye kaun
sej par rasmasā rahā hai ye kaun
sub.h panghaT pe ho rahī hai tulūa
ruḳh se kākul haTā rahā hai ye kaun
adh-khulī añkhḌiyoñ ko mal mal kar
jū-e-pul meñ nahā rahā hai ye kaun
bojhal anfās ke talātum se
be-sadā jhanjhanā rahā hai ye kaun
aañch goyā havā meñ zer-o-zabar
niiñd meñ sansanā rahā hai ye kaun
sat.h-e-dariyā pe chāñdnī jaise
chauñk kar muskurā rahā hai ye kaun
karvaToñ ke girā.e takiyoñ ko
kasmasā kar uThā rahā hai ye kaun
rū-e-nā-shusta ke dhuñdalke meñ
ras kī būñdeñ girā rahā hai ye kaun
ek añgḌā.ī se do-ālam ko
rāgnī meñ jhulā rahā hai ye kaun
niiñd kī rau meñ sham.a ke mānind
sub.h ko jhilmilā rahā hai ye kaun
sharm se champa.ī kalā.ī meñ
sabz chauḌī ghumā rahā hai ye kaun
dair-e-sub.h-e-bahār kī zanjīr
rañg-e-ruḳh se hilā rahā hai ye kaun
añkhḌiyāñ jald jald jhapkā kar
surḳh Dore bajā rahā hai ye kaun
kardgārā mire dar-e-dil ko
sub.h-dam khaTkhaTā rahā hai ye kaun
teġh doshīzgī ke paanī se
aag dil meñ lagā rahā hai ye kaun
tah-ba-tah kar ke biich kī uñglī
band muTThī bajā rahā hai ye kaun
zer-e-dandāñ dabā ke surḳh añgusht
umr apnī batā rahā hai ye kaun
jo bahut duur jā chukā thā use
paas apne bulā rahā hai ye kaun
ahd-e-sheb-o-shabāb ke mābain
fāsloñ ko haTā rahā hai ye kaun
gul paḌā hai jo ek muddat se
us diye ko jalā rahā hai ye kaun
so chukī hai jo ik zamāne se
is ḳhalish ko jagā rahā hai ye kaun
merī sehat se bad-maza ho kar
rog dil ko lagā rahā hai ye kaun
ek muddat se jo mufakkir hai
us ko mutrib banā rahā hai ye kaun
mujh se maġhrūr-o-bad-dimāġh kā sar
apne dar par jhukā rahā hai ye kaun
korī āñkhoñ ke taaza ashkoñ se
ik nayā gul khilā rahā hai ye kaun
soz-e-pinhāñ meñ Dhaal kar mukhḌā
saaz mere hilā rahā hai ye kaun
aql ke qasr-e-be-niyāzī par
naaz ke ghan chalā rahā hai ye kaun
merī dānish-varī ke lohe ko
tāb-e-ruḳh se galā rahā hai ye kaun
mujh meñ ik guuna be-ruḳhī pā kar
ḳhud-kushī se Darā rahā hai ye kaun
'josh' mere khañDar ko az-sar-e-nau
rājdhānī banā rahā hai ye kaun
mauj-e-dariya pe chha raha hai ye kaun
sej par rasmasa raha hai ye kaun
subh panghaT pe ho rahi hai tulua
ruKH se kakul haTa raha hai ye kaun
adh-khuli ankhDiyon ko mal mal kar
ju-e-pul mein naha raha hai ye kaun
bojhal anfas ke talatum se
be-sada jhanjhana raha hai ye kaun
aanch goya hawa mein zer-o-zabar
nind mein sansana raha hai ye kaun
sath-e-dariya pe chandni jaise
chaunk kar muskura raha hai ye kaun
karwaTon ke girae takiyon ko
kasmasa kar uTha raha hai ye kaun
ru-e-na-shusta ke dhundalke mein
ras ki bunden gira raha hai ye kaun
ek angDai se do-alam ko
ragni mein jhula raha hai ye kaun
nind ki rau mein shama ke manind
subh ko jhilmila raha hai ye kaun
sharm se champai kalai mein
sabz chauDi ghuma raha hai ye kaun
dair-e-subh-e-bahaar ki zanjir
rang-e-ruKH se hila raha hai ye kaun
ankhDiyan jald jald jhapka kar
surKH Dore baja raha hai ye kaun
kardgara mere dar-e-dil ko
subh-dam khaTkhaTa raha hai ye kaun
tegh doshizgi ke pani se
aag dil mein laga raha hai ye kaun
tah-ba-tah kar ke bich ki ungli
band muTThi baja raha hai ye kaun
zer-e-dandan daba ke surKH angusht
umr apni bata raha hai ye kaun
jo bahut dur ja chuka tha use
pas apne bula raha hai ye kaun
ahd-e-sheb-o-shabab ke mabain
faslon ko haTa raha hai ye kaun
gul paDa hai jo ek muddat se
us diye ko jala raha hai ye kaun
so chuki hai jo ek zamane se
is KHalish ko jaga raha hai ye kaun
meri sehat se bad-maza ho kar
rog dil ko laga raha hai ye kaun
ek muddat se jo mufakkir hai
us ko mutrib bana raha hai ye kaun
mujh se maghrur-o-bad-dimagh ka sar
apne dar par jhuka raha hai ye kaun
kori aankhon ke taza ashkon se
ek naya gul khila raha hai ye kaun
soz-e-pinhan mein Dhaal kar mukhDa
saz mere hila raha hai ye kaun
aql ke qasr-e-be-niyazi par
naz ke ghan chala raha hai ye kaun
meri danish-wari ke lohe ko
tab-e-ruKH se gala raha hai ye kaun
mujh mein ek guna be-ruKHi pa kar
KHud-kushi se Dara raha hai ye kaun
'josh' mere khanDar ko az-sar-e-nau
rajdhani bana raha hai ye kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.