mauj-e-gham-e-hayat sharabor kar gai
mauj-e-ġham-e-hayāt sharābor kar ga.ī
ḳhāmosh dhaḌkanoñ meñ baḌā shor kar ga.ī
be-ḳhud sā ho gayā thā maiñ raqs-o-surūr meñ
aur us kī ham-navā.ī mujhe mor kar ga.ī
maiñ ho ke bā-vafā bhī to ik be-vafā rahā
nazroñ meñ merī mujh ko hī vo chor kar ga.ī
simTī sī laḌkī de ga.ī paiġhām āḳhirash
nāzuk kalā.ī us kī bhī kuchh zor kar ga.ī
mujh pe hayāt kaisā ye ehsān kar diyā
har faisla mirā tū lab-e-gor kar ga.ī
aañsū shab-e-firāq meñ ruk hī nahīñ sake
zabt-e-sadā ko merī vo kamzor kar ga.ī
'aslam' jo dard-e-jāñ thā vo jān-e-hayāt hai
nāzuk ye kaam rishte ko ik Dor kar ga.ī
mauj-e-gham-e-hayat sharabor kar gai
KHamosh dhaDkanon mein baDa shor kar gai
be-KHud sa ho gaya tha main raqs-o-surur mein
aur us ki ham-nawai mujhe mor kar gai
main ho ke ba-wafa bhi to ek be-wafa raha
nazron mein meri mujh ko hi wo chor kar gai
simTi si laDki de gai paigham aaKHirash
nazuk kalai us ki bhi kuchh zor kar gai
mujh pe hayat kaisa ye ehsan kar diya
har faisla mera tu lab-e-gor kar gai
aansu shab-e-firaq mein ruk hi nahin sake
zabt-e-sada ko meri wo kamzor kar gai
'aslam' jo dard-e-jaan tha wo jaan-e-hayat hai
nazuk ye kaam rishte ko ek Dor kar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.