mauj-e-hawa-e-shauq use paemal kar
mauj-e-havā-e-shauq use pā.emāl kar
rakkheñge ḳhāk-e-dil ko kahāñ tak sañbhāl kar
afsurda-dil na ho ye safar kī takān hai
do-chār ghūñT pī ke tabī.at bahāl kar
ye abr ye bahār ye tūfān-e-rang-o-bū
ai dost merī tishna-labī kā ḳhayāl kar
ye manzil-e-shabāb hai pur-pech-o-pur-ḳhatar
ai paikar-e-jamāl zarā dekh-bhāl kar
har ahl-e-dil kī merī taraf uTh ga.ī nazar
guzre vo yuuñ qarīb se dāman sañbhāl kar
ai 'shauq' maiñ ne nazm-o-ġhazal jab kabhī kahī
kāġhaz pe rakh diyā hai kaleja nikāl kar
mauj-e-hawa-e-shauq use paemal kar
rakkhenge KHak-e-dil ko kahan tak sanbhaal kar
afsurda-dil na ho ye safar ki takan hai
do-chaar ghunT pi ke tabiat bahaal kar
ye abr ye bahaar ye tufan-e-rang-o-bu
ai dost meri tishna-labi ka KHayal kar
ye manzil-e-shabab hai pur-pech-o-pur-KHatar
ai paikar-e-jamal zara dekh-bhaal kar
har ahl-e-dil ki meri taraf uTh gai nazar
guzre wo yun qarib se daman sanbhaal kar
ai 'shauq' main ne nazm-o-ghazal jab kabhi kahi
kaghaz pe rakh diya hai kaleja nikal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.