mauj-e-KHun josh mein thi apne qadam se pahle
mauj-e-ḳhūñ josh meñ thī apne qadam se pahle
koī aayā thā yahāñ dasht meñ ham se pahle
tuur be-nūr thā muusā ke qadam se pahle
kis ne dekhā hai tire husn ko ham se pahle
ḳhair guzrī ki junūñ vaqt pe kaam aa hī gayā
sañg-e-dar mil gayā mehrāb-e-haram se pahle
ham bhī kandhoñ pe uThā lā.eñge maqtal meñ salīb
kuchh ishāra to mile ahl-e-karam se pahle
tishnagī-e-lab-e-asġhar kā taqāzā thā 'razā'
varna talvār uThāte na qalam se pahle
mauj-e-KHun josh mein thi apne qadam se pahle
koi aaya tha yahan dasht mein hum se pahle
tur be-nur tha musa ke qadam se pahle
kis ne dekha hai tere husn ko hum se pahle
KHair guzri ki junun waqt pe kaam aa hi gaya
sang-e-dar mil gaya mehrab-e-haram se pahle
hum bhi kandhon pe uTha laenge maqtal mein salib
kuchh ishaara to mile ahl-e-karam se pahle
tishnagi-e-lab-e-asghar ka taqaza tha 'raza'
warna talwar uThate na qalam se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.