mauj-e-KHun sar se guzar jati hai har raat mere
mauj-e-ḳhūñ sar se guzar jaatī hai har raat mire
phuuT kar ḳhvāboñ meñ rotā hai koī saat mire
ab na vo giit na chaupāl na panghaT na alaao
kho ga.e shahroñ ke hañgāmoñ meñ dihāt mire
zindagī bhuul ga.ī apne ġhamoñ meñ is ko
daulat dard vafā bhī na lagī haat mire
muddatoñ pahle ki jab tujh se ta.āruf bhī na thā
terī tasvīr banāte the ḳhayālāt mire
mauj-e-KHun sar se guzar jati hai har raat mere
phuT kar KHwabon mein rota hai koi sat mere
ab na wo git na chaupal na panghaT na alao
kho gae shahron ke hangamon mein dihat mere
zindagi bhul gai apne ghamon mein is ko
daulat dard wafa bhi na lagi hat mere
muddaton pahle ki jab tujh se taaruf bhi na tha
teri taswir banate the KHayalat mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.