Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mauj-e-shamim hain na KHiram-e-saba hain hum

Akhtar Saeed Khan

mauj-e-shamim hain na KHiram-e-saba hain hum

Akhtar Saeed Khan

MORE BYAkhtar Saeed Khan

    mauj-e-shamīm haiñ na ḳhirām-e-sabā haiñ ham

    Thahrī huī guloñ ke laboñ par duā haiñ ham

    begāna ḳhalq se haiñ na tujh se ḳhafā haiñ ham

    ai zindagī muaaf ki dair-āshnā haiñ ham

    is raaz ko bhī faash kar ai chashm-e-dil-navāz

    kāñTā khaTak rahā hai ye dil meñ ki kyā haiñ ham

    yārab tirā kamāl-e-hunar ham pe ḳhatm hai

    sirf mashq-e-nāz ik tajraba haiñ ham

    āḳhir tire sulūk ne jhuTlā diyā ise

    ik zo.am thā hamīñ ki sarāpā vafā haiñ ham

    kal is zamīñ pe utreñge phūloñ ke qāfile

    ik paikar-e-bahār āvāz-e-pā haiñ ham

    mauj-e-shamim hain na KHiram-e-saba hain hum

    Thahri hui gulon ke labon par dua hain hum

    begana KHalq se hain na tujh se KHafa hain hum

    ai zindagi muaf ki dair-ashna hain hum

    is raaz ko bhi fash kar ai chashm-e-dil-nawaz

    kanTa khaTak raha hai ye dil mein ki kya hain hum

    yarab tera kamal-e-hunar hum pe KHatm hai

    ya sirf mashq-e-naz ka ek tajraba hain hum

    aaKHir tere suluk ne jhuTla diya ise

    ek zoam tha hamin ki sarapa wafa hain hum

    kal is zamin pe utrenge phulon ke qafile

    ek paikar-e-bahaar ki aawaz-e-pa hain hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now