mauj lahrae bhanwar ghume hawa gae ghazal
mauj lahrā.e bhañvar ghūme havā gaa.e ġhazal
har adā meñ ik nayā andāz dikhlā.e ġhazal
āriz-o-lab gesū-o-qad tak kahāñ mahdūd hai
zindagī kā ma.anī-o-matlab bhī samjhā.e ġhazal
tīra-o-tārīk rāhoñ meñ kabhī rakhe charāġh
aur kabhī rangīn āñchal ban ke lahrā.e ġhazal
zulf kī ThanDī mo'attar chhāñv meñ ban jaa.e ḳhvāb
chilchilātī dhuup meñ tap kar nikhar aa.e ġhazal
naġhmagī jharne kī ThanDak chāñdnī kī dil kā nuur
ek jaañ ho jaa.e jab guñdh kar to kahlā.e ġhazal
raat kī tanhā.iyoñ meñ jab udāsī gher le
ek aañsū ban ke chupke se Tapak jaa.e ġhazal
yaad ke be-rañg lamhe hoñT jab siine lageñ
rū-ba-rū 'zahrā' koī aa kar sunā jaa.e ġhazal
mauj lahrae bhanwar ghume hawa gae ghazal
har ada mein ek naya andaz dikhlae ghazal
aariz-o-lab gesu-o-qad tak kahan mahdud hai
zindagi ka mani-o-matlab bhi samjhae ghazal
tira-o-tarik rahon mein kabhi rakhe charagh
aur kabhi rangin aanchal ban ke lahrae ghazal
zulf ki ThanDi mo'attar chhanw mein ban jae KHwab
chilchilati dhup mein tap kar nikhar aae ghazal
naghmagi jharne ki ThanDak chandni ki dil ka nur
ek jaan ho jae jab gundh kar to kahlae ghazal
raat ki tanhaiyon mein jab udasi gher le
ek aansu ban ke chupke se Tapak jae ghazal
yaad ke be-rang lamhe honT jab sine lagen
ru-ba-ru 'zahra' koi aa kar suna jae ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.