mauja-e-gham mein rawani bhi to ho
mauja-e-ġham meñ ravānī bhī to ho
kuchh jigar kā ḳhūn-pānī bhī to ho
rañj sūrat ke badal jaane kā kyā
koī shai duniyā kī faanī bhī to ho
ġham meñ rafta rafta mastī aa.egī
kuchh dinoñ ye mai purānī bhī to ho
kījiyegā sun ke kyā rūdād-e-ġham
kyā kahūñ koī kahānī bhī to ho
kyā taqābul merī jaulānī se 'zeb'
koī dariyā meñ ravānī bhī to ho
mauja-e-gham mein rawani bhi to ho
kuchh jigar ka KHun-pani bhi to ho
ranj surat ke badal jaane ka kya
koi shai duniya ki fani bhi to ho
gham mein rafta rafta masti aaegi
kuchh dinon ye mai purani bhi to ho
kijiyega sun ke kya rudad-e-gham
kya kahun koi kahani bhi to ho
kya taqabul meri jaulani se 'zeb'
koi dariya mein rawani bhi to ho
- Book : zartaab (Pg. 264)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.