mauja-e-umr-e-gurezan ki rawani jaisa
mauja-e-umr-e-gurezāñ kī ravānī jaisā
aañkh meñ kuchh to hai Thahre hue paanī jaisā
zard paḌte hue phūloñ meñ dhanak kī tartīb
zindagī meñ ye ajab moḌ kahānī jaisā
is tarah chhalke tire hoñT ki vaqt-e-ruḳhsat
rah gayā kuchh mire māthe pe nishānī jaisā
maiñ ne kal raat tire dil meñ chamakte dekhā
ek paikar mirī bharpūr javānī jaisā
maiñ tirī shāḳh-e-tahayyur pe mahaktā huā phuul
tū mire ḳhvāb-e-mohabbat ke ma.ānī jaisā
us ke chhūne se huā qaus-e-quzah meñ tabdīl
thā jo ik rang mirī ruuh meñ dhānī jaisā
vasl-āhang huā jaatā hai kuchh roz se phir
merā uslūb-e-suḳhan hijr-bayānī jaisā
mauja-e-umr-e-gurezan ki rawani jaisa
aankh mein kuchh to hai Thahre hue pani jaisa
zard paDte hue phulon mein dhanak ki tartib
zindagi mein ye ajab moD kahani jaisa
is tarah chhalke tere honT ki waqt-e-ruKHsat
rah gaya kuchh mere mathe pe nishani jaisa
main ne kal raat tere dil mein chamakte dekha
ek paikar meri bharpur jawani jaisa
main teri shaKH-e-tahayyur pe mahakta hua phul
tu mere KHwab-e-mohabbat ke maani jaisa
us ke chhune se hua qaus-e-quzah mein tabdil
tha jo ek rang meri ruh mein dhani jaisa
wasl-ahang hua jata hai kuchh roz se phir
mera uslub-e-suKHan hijr-bayani jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.