maujon ne uski mujhko kahin ka nahin rakha
maujoñ ne us kī mujh ko kahīñ kā nahīñ rakhā
dariyā-e-ishq ne to kinārā nahīñ rakhā
ruḳhsat kiyā gayā use us kī hī shart par
maiñ ne tamām umr kā jhagḌā nahīñ rakhā
apne sabhī aziiz bichhaḌte chale ga.e
lekin udaas maiñ ne bhī chehra nahīñ rakhā
masjid nazar na aa.e kisī ko bhī duur se
apne makāñ ko itnā bhī ūñchā nahīñ rakhā
aa.ī tumhārī yaad to kyā kuchh nahīñ kiyā
dil ko kisī bhī haal meñ tanhā nahīñ rakhā
ḳhāk-e-vatan ko ḳhuun se ham sīñchte rahe
aañsū bhī kar ke aañkh meñ yakjā nahīñ rakhā
us kā bhī vāpsī kā irāda na thā koī
maiñ ne bhī lauT aane kā rasta nahīñ rakhā
maujon ne us ki mujh ko kahin ka nahin rakha
dariya-e-ishq ne to kinara nahin rakha
ruKHsat kiya gaya use us ki hi shart par
main ne tamam umr ka jhagDa nahin rakha
apne sabhi aziz bichhaDte chale gae
lekin udas main ne bhi chehra nahin rakha
masjid nazar na aae kisi ko bhi dur se
apne makan ko itna bhi uncha nahin rakha
aai tumhaari yaad to kya kuchh nahin kiya
dil ko kisi bhi haal mein tanha nahin rakha
KHak-e-watan ko KHun se hum sinchte rahe
aansu bhi kar ke aankh mein yakja nahin rakha
us ka bhi wapsi ka irada na tha koi
main ne bhi lauT aane ka rasta nahin rakha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.