Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maujon se Takrae hain hum tufanon se khele hain

Pandit Vidya Rattan Asi

maujon se Takrae hain hum tufanon se khele hain

Pandit Vidya Rattan Asi

MORE BYPandit Vidya Rattan Asi

    maujoñ se Takrā.e haiñ ham tūfānoñ se khele haiñ

    ik jiine ḳhātir ham ne kyā kyā sadme jhele haiñ

    qalb-o-nazar ke afsāne ye raunaq-e-bazm-e-aish-e-tarab

    jiite bāteñ haiñ sab jiite ke mele haiñ

    in ke dam se raunaq-e-hastī in ke dam se ye duniyā

    ḳhāk-basar haiñ zāhir meñ jo log baḌe albele haiñ

    ye apnī himmat thī ham har mauj-e-balā se paar hue

    khel bahut dil-doz the varna jo taqdīr ne khele haiñ

    sochte haiñ ham tishna-laboñ ko kis ne aaj navāzā hai

    kis ne apnī mast nazar se rangīñ jaam uñDele haiñ

    un logoñ par kaash tirī kuchh chashm-e-ināyat ho jaatī

    jin logoñ ne terī ḳhātir barsoñ sadme jhele haiñ

    'āsī' ziist rāhoñ meñ mil jaa.e kisī saath magar

    ye taqdīr bāteñ haiñ sab ye taqdīr ke mele haiñ

    maujon se Takrae hain hum tufanon se khele hain

    ek jine ki KHatir hum ne kya kya sadme jhele hain

    qalb-o-nazar ke afsane ye raunaq-e-bazm-e-aish-e-tarab

    jite ji ki baaten hain sab jite ji ke mele hain

    in ke dam se raunaq-e-hasti in ke dam se ye duniya

    KHak-basar hain zahir mein jo log baDe albele hain

    ye apni himmat thi hum har mauj-e-bala se par hue

    khel bahut dil-doz the warna jo taqdir ne khele hain

    sochte hain hum tishna-labon ko kis ne aaj nawaza hai

    kis ne apni mast nazar se rangin jam unDele hain

    un logon par kash teri kuchh chashm-e-inayat ho jati

    jin logon ne teri KHatir barson sadme jhele hain

    'asi' zist ki rahon mein mil jae kisi ka sath magar

    ye taqdir ki baaten hain sab ye taqdir ke mele hain

    Source :
    • Book : زندگی کے مارے لوگ (Pg. 79)
    • Author : ودیا رتن آسی
    • Publication : چیتن پرکاشن،پنجابی بھون،لدھیانہ (2017)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now