maujud the wo mere hi andar khule hue
maujūd the vo mere hī andar khule hue
mujh par duā ke baa'd khule dar khule hue
āñkhoñ ne kar diyā use ruḳhsat magar abhī
rakkhe hue haiñ dil ne sabhī dar khule hue
kuchh to khule ki guzrī hai kyā ahl-e-dasht par
aa.e haiñ log shahr meñ kyoñ sar khule hue
ik ḳhauf hai ki jis ne uḌaa.ī hai merī niiñd
dekhe haiñ maiñ ne ḳhvāb meñ ḳhanjar khule hue
mumkin hai phir saroñ ko uThā.eñ na faḳhr se
qabroñ ke dekh leñ jo kabhī sar khule hue
luTne meñ dard kyā hai kabhī un se pūchh leñ
chhoḌ aa.e the jo log 'yashab' ghar khule hue
maujud the wo mere hi andar khule hue
mujh par dua ke ba'd khule dar khule hue
aankhon ne kar diya use ruKHsat magar abhi
rakkhe hue hain dil ne sabhi dar khule hue
kuchh to khule ki guzri hai kya ahl-e-dasht par
aae hain log shahr mein kyon sar khule hue
ek KHauf hai ki jis ne uDai hai meri nind
dekhe hain main ne KHwab mein KHanjar khule hue
mumkin hai phir saron ko uThaen na faKHr se
qabron ke dekh len jo kabhi sar khule hue
luTne mein dard kya hai kabhi un se puchh len
chhoD aae the jo log 'yashab' ghar khule hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.