maujudgi ka uski yahan etiraf kar
maujūdgī kā us kī yahāñ e'tirāf kar
ai ka.aba-e-jahāñ mire dil kā tavāf kar
kab tak fusūñ meñ mausam-e-yaksāniyat rahe
ai rā.ij-ul-jahān nayā inkishāf kar
is talḳhī-e-hayāt ke lamhoñ kā har qusūr
maiñ ne muaaf kar diyā tū bhī muaaf kar
parda paḌā hai shahr kī jab aañkh aañkh par
terā bhī haq hai sach se mire iḳhtilāf kar
maiñ sach huuñ aur sāmne tere khaḌā huuñ maiñ
karnā hai merī zaat se ab inhirāf kar
maiñ ḳhud pe oḌhtā huuñ tire pyaar kī ridā
tū ḳhud pe merī chaah kā ujlā ġhilāf kar
le ek ek shaḳhs mirā ham-zabān hai
jā ek ek shaḳhs ko mere ḳhilāf kar
tab aks aks ujlā nazar aa.egā tujhe
tū ā.ina-e-dil pe jamī gard saaf kar
ban kar shuā-e-shīsha-e-manshūr dil pe paḌ
rangoñ kā ik jahān liye in.etāf kar
chādar tamāzatoñ kī liye din ke dil meñ chal
tanhā.iyoñ ko shab ke jigar meñ lihāf kar
is mohr-band ishq ko tū bhī havā lagā
'tāhir-adīm' tū bhī koī iktishāf kar
maujudgi ka us ki yahan e'tiraf kar
ai kaba-e-jahan mere dil ka tawaf kar
kab tak fusun mein mausam-e-yaksaniyat rahe
ai raij-ul-jahan naya inkishaf kar
is talKHi-e-hayat ke lamhon ka har qusur
main ne muaf kar diya tu bhi muaf kar
parda paDa hai shahr ki jab aankh aankh par
tera bhi haq hai sach se mere iKHtilaf kar
main sach hun aur samne tere khaDa hun main
karna hai meri zat se ab inhiraf kar
main KHud pe oDhta hun tere pyar ki rida
tu KHud pe meri chah ka ujla ghilaf kar
le ek ek shaKHs mera ham-zaban hai
ja ek ek shaKHs ko mere KHilaf kar
tab aks aks ujla nazar aaega tujhe
tu aaina-e-dil pe jami gard saf kar
ban kar shua-e-shisha-e-manshur dil pe paD
rangon ka ek jahan liye inetaf kar
chadar tamazaton ki liye din ke dil mein chal
tanhaiyon ko shab ke jigar mein lihaf kar
is mohr-band ishq ko tu bhi hawa laga
'tahir-adim' tu bhi koi iktishaf kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.