maujzan hai to bahut mujh mein samundar mera
maujzan hai to bahut mujh meñ samundar merā
phir bhī sahrāoñ meñ rahnā hai muqaddar merā
degī ik roz to dastār-e-fazīlat duniyā
kyā ḳhabar tab na ho shānoñ pe mire sar merā
khīñchtā rahtā hai markaz mujhe apnī jānib
aur rukne na de mujh ko kabhī mehvar merā
ab añdhere se shikāyat bhī bhalā kyā kiije
kho gayā mujh se hī jab paikar-e-anvar merā
jo mujhe aaj miTā dene pa āmāda hai
kitnā ehsān hai us shaḳhs pe 'aḳhtar' merā
maujzan hai to bahut mujh mein samundar mera
phir bhi sahraon mein rahna hai muqaddar mera
degi ek roz to dastar-e-fazilat duniya
kya KHabar tab na ho shanon pe mere sar mera
khinchta rahta hai markaz mujhe apni jaanib
aur rukne na de mujh ko kabhi mehwar mera
ab andhere se shikayat bhi bhala kya kije
kho gaya mujh se hi jab paikar-e-anwar mera
jo mujhe aaj miTa dene pa aamada hai
kitna ehsan hai us shaKHs pe 'aKHtar' mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.