maula megha pani de
maulā meghā paanī de
khet ko lahñgā dhānī de
kashtī kī āñkheñ haiñ ḳhushk
dariyā meñ tuġhyānī de
dekhūñ jab bhī ā.īna
thoḌī sī hairānī de
jī bhar tujh ko dekh sakūñ
jalva ik nūrānī de
raste sab pāmāl hue
raah koī anjānī de
toḌ ta.attul kī zanjīr
fitrat kuchh sailānī de
tū ḳhāliq aur rāziq hai
dhuup havā aur paanī de
bātil tere mere biich
phir quvvat-e-īmānī de
kar duuñ maiñ sab ko hairān
nādir ek kahānī de
zinda naam rahe 'mansūr'
lahja vo lā-fānī de
maula megha pani de
khet ko lahnga dhani de
kashti ki aankhen hain KHushk
dariya mein tughyani de
dekhun jab bhi aaina
thoDi si hairani de
ji bhar tujh ko dekh sakun
jalwa ek nurani de
raste sab pamal hue
rah koi anjaani de
toD tattul ki zanjir
fitrat kuchh sailani de
tu KHaliq aur raaziq hai
dhup hawa aur pani de
baatil tere mere bich
phir quwwat-e-imani de
kar dun main sab ko hairan
nadir ek kahani de
zinda nam rahe 'mansur'
lahja wo la-fani de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.