mauqa-e-raqs na degi mujhe taqdir abhi
mauqa.a-e-raqs na degī mujhe taqdīr abhī
hai mire paañv meñ hālāt kī zanjīr abhī
phir jalā lenā ujāle kī zarūrat ho agar
adh-jale ghar meñ to maujūd hai shahtīr abhī
lāv-lashkar miyāñ rahte mire aage pīchhe
kaash rahtī mire ajdād kī jāgīr abhī
tum na pahchān sakoge use āsānī se
vaqt kī gard meñ gum hai mirī tasvīr abhī
dard ke gaañv meñ badlāo 'alīm' aa.egā
kar rahā hai vo na.e diin kī ta.amīr abhī
mauqa-e-raqs na degi mujhe taqdir abhi
hai mere panw mein haalat ki zanjir abhi
phir jala lena ujale ki zarurat ho agar
adh-jale ghar mein to maujud hai shahtir abhi
law-lashkar miyan rahte mere aage pichhe
kash rahti mere ajdad ki jagir abhi
tum na pahchan sakoge use aasani se
waqt ki gard mein gum hai meri taswir abhi
dard ke ganw mein badlao 'alim' aaega
kar raha hai wo nae din ki tamir abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.