mausam aane pe shajar baur se bhar jata hai
mausam aane pe shajar baur se bhar jaatā hai
jaane kis or magar saarā samar jaatā hai
aa ke baiThe ho tum aur vaqt-e-sahar aa pahuñchā
kis qadar jald bhalā vaqt guzar jaatā hai
jab bhī beTī kī judā.ī kā samāñ sochtā huuñ
ek ḳhanjar mire siine meñ utar jaatā hai
tū ne dekhā hī nahīñ muḌ ke zarā ai ḳhūbāñ
koī kūche se tire ḳhāk-ba-sar jaatā hai
ġham na kar tū jo taḌaptā huuñ maiñ gaahe gaahe
jaate jaate hī mohabbat kā asar jaatā hai
kaisī tāsīr hai is husn-e-fusūñ-sāz kī bhī
koī jiitā hai koī dekh ke mar jaatā hai
ik zarūrat ne jhukāyā mujhe kis kis dar par
mire andar ye koī soch ke mar jaatā hai
kaisī mushkil meñ mujhe Daal diyā ai daurāñ
maiñ ki dastār bachātā huuñ to sar jaatā hai
mausam aane pe shajar baur se bhar jata hai
jaane kis or magar sara samar jata hai
aa ke baiThe ho tum aur waqt-e-sahar aa pahuncha
kis qadar jald bhala waqt guzar jata hai
jab bhi beTi ki judai ka saman sochta hun
ek KHanjar mere sine mein utar jata hai
tu ne dekha hi nahin muD ke zara ai KHuban
koi kuche se tere KHak-ba-sar jata hai
gham na kar tu jo taDapta hun main gahe gahe
jate jate hi mohabbat ka asar jata hai
kaisi tasir hai is husn-e-fusun-saz ki bhi
koi jita hai koi dekh ke mar jata hai
ek zarurat ne jhukaya mujhe kis kis dar par
mere andar ye koi soch ke mar jata hai
kaisi mushkil mein mujhe Dal diya ai dauran
main ki dastar bachata hun to sar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.