mausam-e-gham guzar na jae kahin
mausam-e-ġham guzar na jaa.e kahīñ
shab meñ sūraj nikal na aa.e kahīñ
apnī tanhā.iyāñ chhupāne ko
but banā.e sanam girā.e kahīñ
vo sarāpā hai ḳhvāb ḳhushbū kā
jhoñkā jhoñkā bikhar na jaa.e kahīñ
Dar ye kaisā huā safar meñ mujhe
rāsta ḳhatm ho na jaa.e kahīñ
kyā batā.ūñ vo kyuuñ pareshāñ hai
mujh ko DhūñDe kahīñ chhupā.e kahīñ
sab isī dhun meñ bhāge jaate haiñ
koī aage nikal na jaa.e kahīñ
ba.ad muddat ke tū milā hai 'nizām'
Dar hai phir se bichhaḌ na jaa.e kahīñ
mausam-e-gham guzar na jae kahin
shab mein suraj nikal na aae kahin
apni tanhaiyan chhupane ko
but banae sanam girae kahin
wo sarapa hai KHwab KHushbu ka
jhonka jhonka bikhar na jae kahin
Dar ye kaisa hua safar mein mujhe
rasta KHatm ho na jae kahin
kya bataun wo kyun pareshan hai
mujh ko DhunDe kahin chhupae kahin
sab isi dhun mein bhage jate hain
koi aage nikal na jae kahin
baad muddat ke tu mila hai 'nizam'
Dar hai phir se bichhaD na jae kahin
- Book : Bayazain Kho Gayee Hain (Pg. 71)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vag Devi Parkashan, Biconer (Rajisthan) (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.