mausam-e-gul aa gaya saghar uTha
mausam-e-gul aa gayā sāġhar uThā
sāqiyā ab zindagī ke giit gā
ab na rah rah kar sitamgar yaad aa
yuuñ na fitna-gar mujhe paiham satā
ai ajal ab kyā hai tujh ko intizār
mujh ko terī justujū hai ḳhuub aa
de rahe haiñ is qadar dhoke nadīm
uTh ga.ī ho jaise duniyā se vafā
ittifāqan lab pe shikve aa ga.e
ye nahīñ thā varna merā mudda.ā
ab hameñ dair-o-haram se kyā ġharaz
ishq dil meñ bas gayā hai aap kā
mujh pe phir farmā.eñge vo mashq-e-nāz
phir mirā soyā muqaddar jaag uThā
yaad meñ barsoñ kisī kī ai 'naresh'
maiñ lahū shām-o-sahar rotā rahā
mausam-e-gul aa gaya saghar uTha
saqiya ab zindagi ke git ga
ab na rah rah kar sitamgar yaad aa
yun na fitna-gar mujhe paiham sata
ai ajal ab kya hai tujh ko intizar
mujh ko teri justuju hai KHub aa
de rahe hain is qadar dhoke nadim
uTh gai ho jaise duniya se wafa
ittifaqan lab pe shikwe aa gae
ye nahin tha warna mera muddaa
ab hamein dair-o-haram se kya gharaz
ishq dil mein bas gaya hai aap ka
mujh pe phir farmaenge wo mashq-e-naz
phir mera soya muqaddar jag uTha
yaad mein barson kisi ki ai 'naresh'
main lahu sham-o-sahar rota raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.