mausam-e-gul hai aur yaad teri
mausam-e-gul hai aur yaad tirī
jaise sāvan meñ kauñdtī bijlī
ḳhushbuoñ meñ nahā ga.ī hai shab
mushk-bū zulf tū ne phir jhaTkī
dil meñ shahnā.iyāñ sī bajne lagīñ
muskurātī huī jo tū guzrī
ḳhvāb bikhre haiñ terī palkoñ par
shabnamī aañkh pyaar meñ Duubī
chhiTke chhiTke the husn ke jugnū
aañkh merī jo ḳhvāb meñ jhapkī
muskurāne lage gulāb ke phuul
tū ne gūñdhī jo gajre se choTī
jhūmtā hai shabāb mastī meñ
tū ne pahnī hai reshmī cholī
mausam-e-gul hai aur yaad teri
jaise sawan mein kaundti bijli
KHushbuon mein naha gai hai shab
mushk-bu zulf tu ne phir jhaTki
dil mein shahnaiyan si bajne lagin
muskuraati hui jo tu guzri
KHwab bikhre hain teri palkon par
shabnami aankh pyar mein Dubi
chhiTke chhiTke the husn ke jugnu
aankh meri jo KHwab mein jhapki
muskurane lage gulab ke phul
tu ne gundhi jo gajre se choTi
jhumta hai shabab masti mein
tu ne pahni hai reshmi choli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.