mausam-e-gul hai ghaTa hai jam hai
mausam-e-gul hai ghaTā hai jaam hai
intizār-e-sāqī-e-gulfām hai
ek saaqī ek mai ik jaam hai
phir ye kaisā farq-e-ḳhās-o-ām hai
ġham to hai is vāste mujh ko aziiz
ye tirā baḳhshā huā in.aam hai
kyā sabab hai jalva-gāh-e-husn meñ
jis ko dekho banda-e-be-dām hai
maut ne aa kar mudāvā kar diyā
ab tire bīmār ko ārām hai
jaan to ḳhud aa ke parvānoñ ne dī
sham.a par be-kār hī ilzām hai
toḌ Daalā us ne paimān-e-vafā
ḳhvāhish-e-dil ab tirā kyā kaam hai
pesh aatā hai muqaddar kā likhā
gardish-e-daurāñ abas badnām hai
hādsoñ se kaisā ghabrānā 'nasīr'
zindagī to hādsoñ kā naam hai
mausam-e-gul hai ghaTa hai jam hai
intizar-e-saqi-e-gulfam hai
ek saqi ek mai ek jam hai
phir ye kaisa farq-e-KHas-o-am hai
gham to hai is waste mujh ko aziz
ye tera baKHsha hua inam hai
kya sabab hai jalwa-gah-e-husn mein
jis ko dekho banda-e-be-dam hai
maut ne aa kar mudawa kar diya
ab tere bimar ko aaram hai
jaan to KHud aa ke parwanon ne di
shama par be-kar hi ilzam hai
toD Dala us ne paiman-e-wafa
KHwahish-e-dil ab tera kya kaam hai
pesh aata hai muqaddar ka likha
gardish-e-dauran abas badnam hai
hadson se kaisa ghabrana 'nasir'
zindagi to hadson ka nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.