mausam-e-gul mein aah-e-sard bharun
mausam-e-gul meñ āh-e-sard bharūñ
muġhnī-e-ḳhush-navā ko yuuñ bhī sunūñ
merī nok-e-qalam se chaak huā
sīna-e-ḳhat se bah rahā hai ḳhuuñ
ai ḳhudā ab maiñ bāb-e-shahr-e-vujūd
mulk-e-mā'dūm meñ kahāñ DhūñDūñ
kā.enāt-e-darāz bhī 'asrār'
naap lūñgā gar ek gaam baḌhūñ
mausam-e-gul mein aah-e-sard bharun
mughni-e-KHush-nawa ko yun bhi sunun
meri nok-e-qalam se chaak hua
sina-e-KHat se bah raha hai KHun
ai KHuda ab main bab-e-shahr-e-wujud
mulk-e-ma'dum mein kahan DhunDun
kaenat-e-daraaz bhi 'asrar'
nap lunga gar ek gam baDhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.