mausam-e-gul mein bhi gul nazr-e-KHizan hain sare
mausam-e-gul meñ bhī gul nazr-e-ḳhizāñ haiñ saare
mutma.in koī nahīñ mahv-e-fuġhāñ haiñ saare
hosh-mandī se qadam aage baḌhāo logo
apnī jānib hī khiñche tīr-o-kamāñ haiñ saare
chahchahāne kī sadā aa.ī thī kal tak jin se
jaane kyoñ aaj vo ḳhāmosh makāñ haiñ saare
sirf dīvār kī ūñchā.ī nazar aatī hai
ai mire shahr mire log kahāñ haiñ saare
ab ḳhudā ḳhair kare qāfila vāloñ kī mire
kho.e kho.e hue manzil ke nishāñ haiñ saare
kitnā dhuñdlā diyā hālāt ne tum ko 'shauqī'
jin ko tum abr samajhte ho dhuāñ haiñ saare
mausam-e-gul mein bhi gul nazr-e-KHizan hain sare
mutmain koi nahin mahw-e-fughan hain sare
hosh-mandi se qadam aage baDhao logo
apni jaanib hi khinche tir-o-kaman hain sare
chahchahane ki sada aai thi kal tak jin se
jaane kyon aaj wo KHamosh makan hain sare
sirf diwar ki unchai nazar aati hai
ai mere shahr mere log kahan hain sare
ab KHuda KHair kare qafila walon ki mere
khoe khoe hue manzil ke nishan hain sare
kitna dhundla diya haalat ne tum ko 'shauqi'
jin ko tum abr samajhte ho dhuan hain sare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.