mausam-e-gul mein kam-nazar chunte rahe hain Khaar kya
mausam-e-gul mein kam-nazar chunte rahe hain Khaar kya
Khawaja Manzar Hasan Manzar
MORE BYKhawaja Manzar Hasan Manzar
mausam-e-gul meñ kam-nazar chunte rahe haiñ ḳhaar kyā
haath hai kyā lahū lahū dāman-e-tār-tār kyā
kār-e-gah-hayāt meñ jo hai sanam-tarāsh hai
aise sanam-kade meñ ho shaiḳh kā e.atibār kyā
ḳham ye sar-e-niyāz hai aur bhī mashq-e-nāz ho
ḳhūnīñ ho jis kī āstīñ us ko sitam meñ aar kyā
dete rahe the ham unheñ pās-e-vafā kā vāsta
itnī sī baat thī magar guzrī hai nāgavār kyā
maanā ki āstīn meñ lāt-o-hubal chhupe hue
phir bhī saf-e-namāz meñ shaiḳh hai bā-vaqār kyā
jaane qusūr kyā huā saaqī ne kyoñ uThā diyā
baiTh ke mai-kade meñ ham piite the musta.ār kyā
tā.ir-e-par-burīda ho 'manzar' agar qafas-nasīb
us kī nazar meñ kyā ḳhizāñ us ke liye bahār kyā
mausam-e-gul mein kam-nazar chunte rahe hain KHar kya
hath hai kya lahu lahu daman-e-tar-tar kya
kar-e-gah-hayat mein jo hai sanam-tarash hai
aise sanam-kade mein ho shaiKH ka eatibar kya
KHam ye sar-e-niyaz hai aur bhi mashq-e-naz ho
KHunin ho jis ki aastin us ko sitam mein aar kya
dete rahe the hum unhen pas-e-wafa ka wasta
itni si baat thi magar guzri hai nagawar kya
mana ki aastin mein lat-o-hubal chhupe hue
phir bhi saf-e-namaz mein shaiKH hai ba-waqar kya
jaane qusur kya hua saqi ne kyon uTha diya
baiTh ke mai-kade mein hum pite the mustaar kya
tair-e-par-burida ho 'manzar' agar qafas-nasib
us ki nazar mein kya KHizan us ke liye bahaar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.