Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mausam-e-gul mein koi kab hosh-mandana chala

Kashfi Lucknavi

mausam-e-gul mein koi kab hosh-mandana chala

Kashfi Lucknavi

MORE BYKashfi Lucknavi

    mausam-e-gul meñ koī kab hosh-mandāna chalā

    phuul dekhe jis ne kāñToñ meñ vo dīvāna chalā

    ek manzil pe har raahī ko jaanā thā magar

    zo.am-e-bātil meñ chalā jo bhī judāgāna chalā

    us ke har ik gaam par thī kāmrānī saath saath

    kārgāh-e-dahr meñ jo sarfaroshāna chalā

    vā.izān-e-kam-nazar haiñ dushman-e-tamkīn-e-hosh

    miT gayā vo in bātoñ par jo dīvāna chalā

    mai-kade meñ ranj-o-ġham kaisā kahāñ mushkileñ

    har ḳhalish jaatī rahī jab daur-e-paimāna chalā

    āfrīñ sad āfrīñ ye himmat-e-zauq-e-talab

    sham.a ke jalte jal marne ko parvāna chalā

    koī asrār-e-mashiyyat ho na paayā āshkār

    be-ḳhabar aayā thā 'kashfī' aur begāna chalā

    mausam-e-gul mein koi kab hosh-mandana chala

    phul dekhe jis ne kanTon mein wo diwana chala

    ek hi manzil pe har rahi ko jaana tha magar

    zoam-e-baatil mein chala jo bhi judagana chala

    us ke har ek gam par thi kaamrani sath sath

    kargah-e-dahr mein jo sarfaroshana chala

    waizan-e-kam-nazar hain dushman-e-tamkin-e-hosh

    miT gaya wo in ki baaton par jo diwana chala

    mai-kade mein ranj-o-gham kaisa kahan ki mushkilen

    har KHalish jati rahi jab daur-e-paimana chala

    aafrin sad aafrin ye himmat-e-zauq-e-talab

    shama ke jalte hi jal marne ko parwana chala

    koi asrar-e-mashiyyat ho na paya aashkar

    be-KHabar aaya tha 'kashfi' aur begana chala

    Source :
    • Saaz-o-Naghma
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now