mausam-e-gul mein yahi rae hai diwanon ki
mausam-e-gul meñ yahī raa.e hai dīvānoñ kī
dhajjiyāñ ab hoñ lagātār garebānoñ kī
miT ga.ī sham' kī tanvīr vo sab raat ke saath
ḳhaak bhī ab nazar aatī nahīñ parvānoñ kī
vahī vahshat vahī saudā vahī andāz-e-junūñ
shakl badlī nahīñ ab tak tire dīvānoñ kī
phuul ke badle chaḌhā jaate haiñ ahl-e-vahshat
dhajjiyāñ turbat-e-majnūñ pe garebānoñ kī
beḌiyāñ Daal ke zindāñ meñ na rakkheñ ahbāb
ḳhaak uḌānī hai abhī mujh ko bayābānoñ kī
gul-e-sad-barg ko vo dekh ke farmāte haiñ
ḳhaas pahchān hai ye chaak garebānoñ kī
maiñ sanam-ḳhāne ko masjid se chalā jab 'bismil'
uñgliyāñ uThne lagīñ mujh pe musalmānoñ kī
mausam-e-gul mein yahi rae hai diwanon ki
dhajjiyan ab hon lagatar garebanon ki
miT gai sham' ki tanwir wo sab raat ke sath
KHak bhi ab nazar aati nahin parwanon ki
wahi wahshat wahi sauda wahi andaz-e-junun
shakl badli nahin ab tak tere diwanon ki
phul ke badle chaDha jate hain ahl-e-wahshat
dhajjiyan turbat-e-majnun pe garebanon ki
beDiyan Dal ke zindan mein na rakkhen ahbab
KHak uDani hai abhi mujh ko bayabanon ki
gul-e-sad-barg ko wo dekh ke farmate hain
KHas pahchan hai ye chaak garebanon ki
main sanam-KHane ko masjid se chala jab 'bismil'
ungliyan uThne lagin mujh pe musalmanon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.