mausam-e-gul na bahaaron ka suKHan yaad aae
mausam-e-gul na bahāroñ kā suḳhan yaad aa.e
mujh ko ai maah tire ruḳh kī phaban yaad aa.e
sair-e-gulshan ke liye vo na kahīñ nikle hoñ
kis liye aaj mujhe sarv-o-saman yaad aa.e
jab shafaq dekhūñ to yaad aate haiñ aariz us ke
chāñd ko dekhte hī us kā badan yaad aa.e
bujh gayā dil bhī mire ghar ke charāġhoñ kī tarah
ḳhaak aise meñ koī ġhuncha-dahan yaad aa.e
zindagī aa.e jo phūloñ kā tabassum dekhūñ
ḳhaak uḌtī huī dekhūñ to kafan yaad aa.e
phir tirā lauT ke jaane kā samāñ yaad aayā
phir mujhe silsila-e-ranj-o-mehan yaad aa.e
jab koī rauzan-e-dīvār nazar se guzre
mujh ko zindān-e-tamannā kī kiran yaad aa.e
tū mire saath hai rakhtī hai mirā itnā ḳhayāl
ai ġharīb-ul-vatanī kaise vatan yaad aa.e
jin se vābasta mirā dast-e-ta.alluq thā 'mujīb'
dasht meñ bharte kuleleñ vo hiran yaad aa.e
mausam-e-gul na bahaaron ka suKHan yaad aae
mujh ko ai mah tere ruKH ki phaban yaad aae
sair-e-gulshan ke liye wo na kahin nikle hon
kis liye aaj mujhe sarw-o-saman yaad aae
jab shafaq dekhun to yaad aate hain aariz us ke
chand ko dekhte hi us ka badan yaad aae
bujh gaya dil bhi mere ghar ke charaghon ki tarah
KHak aise mein koi ghuncha-dahan yaad aae
zindagi aae jo phulon ka tabassum dekhun
KHak uDti hui dekhun to kafan yaad aae
phir tera lauT ke jaane ka saman yaad aaya
phir mujhe silsila-e-ranj-o-mehan yaad aae
jab koi rauzan-e-diwar nazar se guzre
mujh ko zindan-e-tamanna ki kiran yaad aae
tu mere sath hai rakhti hai mera itna KHayal
ai gharib-ul-watani kaise watan yaad aae
jin se wabasta mera dast-e-talluq tha 'mujib'
dasht mein bharte kulelen wo hiran yaad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.