mausam-e-gul tere inam abhi baqi hain
mausam-e-gul tire in.aam abhī baaqī haiñ
shahr meñ aur gul-andām abhī baaqī haiñ
aur khil jā ki ma.ārif kī guzargāhoñ meñ
pech ai zulf-e-siyah-fām abhī baaqī haiñ
ik subū aur ki lauh-e-dil-e-mai-noshāñ par
kuchh nuqūsh-e-sahar-o-shām abhī baaqī haiñ
Thahar ai bād-e-sahar is gul-e-nau-rasta ke naam
aur bhī shauq ke paiġhām abhī baaqī haiñ
uTTho ai shab ke ġhazālo ki sahar se pahle
chand lamhāt-e-ḳhush-anjām abhī baaqī haiñ
intizār ai dil-o-dīda ki hazāroñ asrār
saa.e kī tarah tah-e-jām abhī baaqī haiñ
khol kar kījiye tashrīh-e-sar-e-misra-e-zulf
is navishte meñ kuchh ib.hām abhī baaqī haiñ
ai sahī-qad tirī nisbat se sab ūñchī qadreñ
bāvajūd-e-ravish-e-ām abhī baaqī haiñ
ham meñ kal ke na sahī 'hāfiz'-o-'ḳhayyām' 'zafar'
aaj ke 'hāfiz'-o-'ḳhayyām' abhī baaqī haiñ
mausam-e-gul tere inam abhi baqi hain
shahr mein aur gul-andam abhi baqi hain
aur khil ja ki maarif ki guzargahon mein
pech ai zulf-e-siyah-fam abhi baqi hain
ek subu aur ki lauh-e-dil-e-mai-noshan par
kuchh nuqush-e-sahar-o-sham abhi baqi hain
Thahar ai baad-e-sahar is gul-e-nau-rasta ke nam
aur bhi shauq ke paigham abhi baqi hain
uTTho ai shab ke ghazalo ki sahar se pahle
chand lamhat-e-KHush-anjam abhi baqi hain
intizar ai dil-o-dida ki hazaron asrar
sae ki tarah tah-e-jam abhi baqi hain
khol kar kijiye tashrih-e-sar-e-misra-e-zulf
is nawishte mein kuchh ibham abhi baqi hain
ai sahi-qad teri nisbat se sab unchi qadren
bawajud-e-rawish-e-am abhi baqi hain
hum mein kal ke na sahi 'hafiz'-o-'KHayyam' 'zafar'
aaj ke 'hafiz'-o-'KHayyam' abhi baqi hain
- Book : sheerazah (Pg. 80)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.