mausam-e-hijrat mein jo apnon se begane rahe
mausam-e-hijrat meñ jo apnoñ se begāne rahe
vo shab-e-zulmat meñ kitne jaane pahchāne rahe
hosh vāloñ ko tamāshe dekhte hī muntazir
dil pe patthar rakh ke ham ik umr dīvāne rahe
fāteh-e-shab kī havas meñ raushnī pe mar miTe
ḳhud-kushī kī aaḌ meñ be-ḳhauf parvāne rahe
taj ke dar terā mirī āvārgī jaatī kahāñ
vo to kahiye shahr meñ be-laus mai-ḳhāne rahe
na hasīñ ḳhvāboñ kā mausam aur na gul kī aarzū
itnī māyūsī meñ bhī ham zindagī taane rahe
be-niyāz-e-dahr ho kar ishq ham karte rahe
aur zamāne ke laboñ par sirf afsāne rahe
ik nazar meñ luT gayā thā dil kā shahr-e-ārzū
zindagī meñ duur tak ḳhvāboñ ke vīrāne rahe
mausam-e-hijrat mein jo apnon se begane rahe
wo shab-e-zulmat mein kitne jaane pahchane rahe
hosh walon ko tamashe dekhte hi muntazir
dil pe patthar rakh ke hum ek umr diwane rahe
fateh-e-shab ki hawas mein raushni pe mar miTe
KHud-kushi ki aaD mein be-KHauf parwane rahe
taj ke dar tera meri aawargi jati kahan
wo to kahiye shahr mein be-laus mai-KHane rahe
na hasin KHwabon ka mausam aur na gul ki aarzu
itni mayusi mein bhi hum zindagi tane rahe
be-niyaz-e-dahr ho kar ishq hum karte rahe
aur zamane ke labon par sirf afsane rahe
ek nazar mein luT gaya tha dil ka shahr-e-arzu
zindagi mein dur tak KHwabon ke virane rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.