mausam-e-la-jawab aaya hai
mausam-e-lā-javāb aayā hai
mere ḳhat kā javāb aayā hai
kho na deñ hosh dekhne vaale
us pe aisā shabāb aayā hai
shahr-e-ehsās kitnā vīrāñ hai
daur aisā ḳharāb aayā hai
shām-e-tanhā.ī ab kaTegī kyā
merī āñkhoñ meñ ḳhvāb aayā hai
merī āñkheñ bhī jhuk ga.iiñ āḳhir
us ke ruḳh par hijāb aayā hai
muñh se 'ġhāzī' na tum kaho lekin
dil kisī pe janāb aayā hai
mausam-e-la-jawab aaya hai
mere KHat ka jawab aaya hai
kho na den hosh dekhne wale
us pe aisa shabab aaya hai
shahr-e-ehsas kitna viran hai
daur aisa KHarab aaya hai
sham-e-tanhai ab kaTegi kya
meri aankhon mein KHwab aaya hai
meri aankhen bhi jhuk gain aaKHir
us ke ruKH par hijab aaya hai
munh se 'ghazi' na tum kaho lekin
dil kisi pe janab aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.