mausam-e-waqt badalna hai badal jaega
mausam-e-vaqt badalnā hai badal jā.egā
azhdahā raat kā sūraj ko nigal jā.egā
shīsha-e-dil kī safā.ī pe tavajjoh diije
mausam-e-vaqt bahar-hāl badal jā.egā
bas vahī dosto is daur kā muusā hogā
raah paanī meñ banā kar jo nikal jā.egā
saath jo maañ kī du'ā.eñ haiñ to inshā-allāh
hādisa raah meñ aa.egā to Tal jā.egā
kyā ḳhabar thī ki zarā chain ke din aate hī
mere hamsā.e kā lahja hī badal jā.egā
log aa jā.eñge miTTī ke havāle kar ke
tere hamrāh faqat terā 'amal jā.egā
aañch īsār ke sho'loñ kī dikhāo 'ālam'
saḳht patthar bhī jo hogā to pighal jā.egā
mausam-e-waqt badalna hai badal jaega
azhdaha raat ka suraj ko nigal jaega
shisha-e-dil ki safai pe tawajjoh dije
mausam-e-waqt bahar-haal badal jaega
bas wahi dosto is daur ka musa hoga
rah pani mein bana kar jo nikal jaega
sath jo man ki du'aen hain to insha-allah
hadisa rah mein aaega to Tal jaega
kya KHabar thi ki zara chain ke din aate hi
mere hamsae ka lahja hi badal jaega
log aa jaenge miTTi ke hawale kar ke
tere hamrah faqat tera 'amal jaega
aanch isar ke sho'lon ki dikhao 'alam'
saKHt patthar bhi jo hoga to pighal jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.