mausam-e-zar-nigah aawara
mausam-e-zar-nigāh āvāra
kārvān-e-bahār āvāra
shāḳh-dar-shāḳh phuul sharmā.e
ho ga.ī hai bahār āvāra
shahr-dar-shahr yuuñ bhaTaktā huuñ
jaise ho terā pyaar āvāra
yuuñ sar-e-rāh ek phuul khilā
jaise ik shāhkār āvāra
is tarah des des phirte haiñ
jaise abr-e-bahār āvāra
mausam-e-zar-nigah aawara
karwan-e-bahaar aawara
shaKH-dar-shaKH phul sharmae
ho gai hai bahaar aawara
shahr-dar-shahr yun bhaTakta hun
jaise ho tera pyar aawara
yun sar-e-rah ek phul khila
jaise ek shahkar aawara
is tarah des des phirte hain
jaise abr-e-bahaar aawara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.