mausam hai sazgar ghazal kah rahe hain hum
mausam hai sāzgār ġhazal kah rahe haiñ ham
dil par hai iḳhtiyār ġhazal kah rahe haiñ ham
zauq-e-junūñ ma.āl-e-ḳhirad kuchh na pūchhiye
dāman hai taar taar ġhazal kah rahe haiñ ham
apnī ġhazal hai shāhid-e-ma.anī bahār kī
parvarda-e-bahār ġhazal kah rahe haiñ ham
kahte haiñ chashm-e-nam se ġhazal meñ hai zindagī
shāyad hī dil-figār ġhazal kah rahe haiñ ham
gulshan meñ ab bhī dāman-e-lāla hai daaġh daaġh
hai zindagī se pyaar ġhazal kah rahe haiñ ham
vaise hai nazm-e-ā.ina-e-nazm-e-gulsitāñ
par ho ke be-qarār ġhazal keh rahe haiñ ham
chhiḌtī hai jab bhī un kī nigāh-e-karam kī baat
lagtā hai baar baar ġhazal kah rahe haiñ ham
bazm-e-adab maqām-e-ġhazal kaun jāniye
motī sī āb-dār ġhazal keh rahe haiñ ham
bazm-e-hayāt anjuman-e-dil nahīñ rahī
'tahsīn' hai intishār ġhazal keh rahe haiñ ham
mausam hai sazgar ghazal kah rahe hain hum
dil par hai iKHtiyar ghazal kah rahe hain hum
zauq-e-junun maal-e-KHirad kuchh na puchhiye
daman hai tar tar ghazal kah rahe hain hum
apni ghazal hai shahid-e-mani bahaar ki
parwarda-e-bahaar ghazal kah rahe hain hum
kahte hain chashm-e-nam se ghazal mein hai zindagi
shayad hi dil-figar ghazal kah rahe hain hum
gulshan mein ab bhi daman-e-lala hai dagh dagh
hai zindagi se pyar ghazal kah rahe hain hum
waise hai nazm-e-aina-e-nazm-e-gulsitan
par ho ke be-qarar ghazal keh rahe hain hum
chhiDti hai jab bhi un ki nigah-e-karam ki baat
lagta hai bar bar ghazal kah rahe hain hum
bazm-e-adab maqam-e-ghazal kaun jaaniye
moti si aab-dar ghazal keh rahe hain hum
bazm-e-hayat anjuman-e-dil nahin rahi
'tahsin' hai intishaar ghazal keh rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.