mausam ka haal aankh ki khiDki bataegi
mausam kā haal aañkh kī khiḌkī batā.egī
din Dhal gayā hai shaam kī surḳhī batā.egī
murjhā ga.e jo shāḳh-e-ajal par khile gulāb
ras uḌ gayā hai saañs kī titlī batā.egī
āñkhoñ pe e'tibār na kar fāsla to dekh
dariyā ke paar kyā hai ye kashtī batā.egī
dīvār par shabīh banāeñgī uñgliyāñ
kam raushnī fareb ko panchhī batā.egī
lā-hāsilī kī saan pe azaloñ ke mājare
sadiyoñ kī dāstān bhī chuTkī batā.egī
apnī hañsī ko haal kā paimāna kījiye
jitnī ḳhushī hai naap ke utnī batā.egī
mausam ka haal aankh ki khiDki bataegi
din Dhal gaya hai sham ki surKHi bataegi
murjha gae jo shaKH-e-ajal par khile gulab
ras uD gaya hai sans ki titli bataegi
aankhon pe e'tibar na kar fasla to dekh
dariya ke par kya hai ye kashti bataegi
diwar par shabih banaengi ungliyan
kam raushni fareb ko panchhi bataegi
la-hasili ki san pe azalon ke majare
sadiyon ki dastan bhi chuTki bataegi
apni hansi ko haal ka paimana kijiye
jitni KHushi hai nap ke utni bataegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.