mausam ka zahr dagh bane kyun libas par
mausam kā zahr daaġh bane kyuuñ libās par
ye soch kar na baiTh sakā sabz ghaas par
muddat huī ki tā.ir-e-jāñ sard ho chukā
uḌte rahe havāoñ meñ kuchh bad-havās par
sūraj kā phuul abr ke pattoñ meñ gum rahā
shab ke shajar kā saaya rahā mujh udaas par
vo jā chukā hai moḌ se āñkheñ haTā bhī le
bekār hoñT sabt haiñ ḳhālī gilās par
kaise nasīb ho tirī bātoñ kā zā.iqa
jī aa gayā hai taaza phaloñ kī miThās par
behtar hai ḳhud hī ajnabī ban kar use mileñ
ilzām aa.e kyuuñ mire sūrat-shanās par
ehsās bhī na thā ki hai patthar mirā badan
haañ Dūbnā paḌā hai ubharne kī aas par
paanī ko rokiye ki na hoñToñ tak aa sake
bejā na 'uzr aa.e kahīñ merī pyaas par
ye kārobār dard kā phir phailtā gayā
kholī dukāñ thī zaḳhm-e-hunar kī asaas par
'shāhid' hue haiñ dard ke sho'loñ se be-ḳhabar
chingārī pheñk diije havā meñ kapās par
mausam ka zahr dagh bane kyun libas par
ye soch kar na baiTh saka sabz ghas par
muddat hui ki tair-e-jaan sard ho chuka
uDte rahe hawaon mein kuchh bad-hawas par
suraj ka phul abr ke patton mein gum raha
shab ke shajar ka saya raha mujh udas par
wo ja chuka hai moD se aankhen haTa bhi le
bekar honT sabt hain KHali gilas par
kaise nasib ho teri baaton ka zaiqa
ji aa gaya hai taza phalon ki miThas par
behtar hai KHud hi ajnabi ban kar use milen
ilzam aae kyun mere surat-shanas par
ehsas bhi na tha ki hai patthar mera badan
han Dubna paDa hai ubharne ki aas par
pani ko rokiye ki na honTon tak aa sake
beja na 'uzr aae kahin meri pyas par
ye karobar dard ka phir phailta gaya
kholi dukan thi zaKHm-e-hunar ki asas par
'shahid' hue hain dard ke sho'lon se be-KHabar
chingari phenk dije hawa mein kapas par
- Book : Subh-e-safar (Pg. 61)
- Author : Saleem Shahid
- Publication : Ham asr, Lahore (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.