mausam ke badalne ka kuchh andaza bhi hota
mausam ke badalne kā kuchh andāza bhī hotā
jab ghar hī banāyā thā to darvāza bhī hotā
ham sher-e-namak-rez sunāte sar-e-mahfil
jo zaḳhm fasurda thā tar-o-tāza bhī hotā
tum hote to me.arāj-e-ḳhayālāt bhī hotī
bikhre hue alfāz kā shīrāza bhī hotā
jazbāt kī āñkhoñ meñ chamaktā koī sho.ala
ehsās ke ruḳhsār pe kuchh ġhāza bhī hotā
raqqāsa-e-dīroz bhī be-pairahan aatī
doshīza-e-imkān kā ḳhamyāza bhī hotā
mausam ke badalne ka kuchh andaza bhi hota
jab ghar hi banaya tha to darwaza bhi hota
hum sher-e-namak-rez sunate sar-e-mahfil
jo zaKHm fasurda tha tar-o-taza bhi hota
tum hote to mearaj-e-KHayalat bhi hoti
bikhre hue alfaz ka shiraaza bhi hota
jazbaat ki aankhon mein chamakta koi shoala
ehsas ke ruKHsar pe kuchh ghaza bhi hota
raqqasa-e-diroz bhi be-pairahan aati
doshiza-e-imkan ka KHamyaza bhi hota
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 70)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.