mausam ki mar waqt ka koDa hai meri samt
mausam kī maar vaqt kā koḌā hai merī samt
ab jo bhī jis tarah bhī hai achchhā hai merī samt
sochūñ to sau malāl mujhe saañs saañs par
dekhūñ to ek aag kā dariyā hai merī samt
dariyā ke pakchhpāt pe ab kyā kaheñ ki jo
uthlā hai terī samt to gahrā hai merī samt
aisī udaas raat ki kaaTe nahīñ kaTe
bām-o-ufuq pe chhāyā añdherā hai merī samt
maiñ vo shajar huuñ jis kī sabhī pattiyoñ meñ chhed
maiñ vo kamāñ huuñ jis kā nishāna hai merī samt
āñkhoñ kā dasht ḳhvāb kī lapToñ se jal gayā
aur is ke bāvajūd jo sabza hai merī samt
ik raushnī jo fikr meñ utrī hai ġhaib se
ik baaġh lafz khulte hī mahkā hai merī samt
mausam ki mar waqt ka koDa hai meri samt
ab jo bhi jis tarah bhi hai achchha hai meri samt
sochun to sau malal mujhe sans sans par
dekhun to ek aag ka dariya hai meri samt
dariya ke pakchhpat pe ab kya kahen ki jo
uthla hai teri samt to gahra hai meri samt
aisi udas raat ki kaTe nahin kaTe
baam-o-ufuq pe chhaya andhera hai meri samt
main wo shajar hun jis ki sabhi pattiyon mein chhed
main wo kaman hun jis ka nishana hai meri samt
aankhon ka dasht KHwab ki lapTon se jal gaya
aur is ke bawajud jo sabza hai meri samt
ek raushni jo fikr mein utri hai ghaib se
ek bagh lafz khulte hi mahka hai meri samt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.