mausam kī oT le ke vo manzar pe chhā.e haiñ
merī nigāh-e-shauq ne jaadū jagā.e haiñ
phir yaad aa rahī haiñ adhūrī kahāniyāñ
badlī hai chāñdnī hai daraḳhtoñ ke saa.e haiñ
ham to samajh rahe the unheñ ham bhulā chuke
ab yaad aa.e haiñ to bahut yaad aa.e haiñ
yuuñ bhī kisī ke pyaar kā rakkhā gayā bharam
aañsū chhupā liye haiñ magar muskurā.e haiñ
kuchh vo bhī niiñd meñ haiñ to kuchh ham bhī niiñd meñ
kyā kyā hasīn ḳhvāb nazar meñ samā.e haiñ
jin kī chamak damak pe zamāna nisār hai
un bijliyoñ ne kitne nasheman jalā.e haiñ
nādāniyoñ kā apnī Thikāna nahīñ 'sharīf'
dariyā ke sāhiloñ pe gharauñde banā.e haiñ
mausam ki oT le ke wo manzar pe chhae hain
meri nigah-e-shauq ne jadu jagae hain
phir yaad aa rahi hain adhuri kahaniyan
badli hai chandni hai daraKHton ke sae hain
hum to samajh rahe the unhen hum bhula chuke
ab yaad aae hain to bahut yaad aae hain
yun bhi kisi ke pyar ka rakkha gaya bharam
aansu chhupa liye hain magar muskurae hain
kuchh wo bhi nind mein hain to kuchh hum bhi nind mein
kya kya hasin KHwab nazar mein samae hain
jin ki chamak damak pe zamana nisar hai
un bijliyon ne kitne nasheman jalae hain
nadaniyon ka apni Thikana nahin 'sharif'
dariya ke sahilon pe gharaunde banae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.