mausam ne ruKHsati jo sunai bahaar ki
mausam ne ruḳhsatī jo sunā.ī bahār kī
bhar aa.ī aañkh gul hī nahīñ ḳhaar ḳhaar kī
jaa.eñ to jaa.eñ bichhḌe hue log kis taraf
haiñ phuul naqsh-e-pā ke na ḳhushbū ġhubār kī
ik pal diloñ ke darmiyāñ qaa.em hai aaj tak
tūfāñ ne toḌne kī to koshish hazār kī
muddat se tak rahā hai mirī raah rozgār
ai ishq ḳhuub terī ravish iḳhtiyār kī
aksar haiñ dekhne meñ bahut ḳhushnumā magar
rishtoñ meñ ab mahak hai kahāñ e'tibār kī
phirtī hai mujh ko le ke na jaane kahāñ kahāñ
'fārūq' merī ḳhaak hai ye kis dayār kī
mausam ne ruKHsati jo sunai bahaar ki
bhar aai aankh gul hi nahin KHar KHar ki
jaen to jaen bichhDe hue log kis taraf
hain phul naqsh-e-pa ke na KHushbu ghubar ki
ek pal dilon ke darmiyan qaem hai aaj tak
tufan ne toDne ki to koshish hazar ki
muddat se tak raha hai meri rah rozgar
ai ishq KHub teri rawish iKHtiyar ki
aksar hain dekhne mein bahut KHushnuma magar
rishton mein ab mahak hai kahan e'tibar ki
phirti hai mujh ko le ke na jaane kahan kahan
'faruq' meri KHak hai ye kis dayar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.