mausam se rang-o-bu hain KHafa dekhte chalo
mausam se rañg-o-bū haiñ ḳhafā dekhte chalo
ye kyā chalī chaman meñ havā dekhte chalo
ambār har taraf haiñ añdheroñ ke ye durust
shāyad nahīñ ho āb-e-baqā dekhte chalo
taskīn-e-sumbul-o-gul-o-lāla ke vāste
kyā de rahī hai bād-e-sabā dekhte chalo
jitne the jāñ-nisār-e-chaman ba.ad-e-sub.h-e-nau
kuchh ajr bhī kisī ko milā dekhte chalo
asnām-e-zar ke paañv meñ Daale hue jabīñ
kitne haiñ bandagān-e-ḳhudā dekhte chalo
kis kis kā e'timād-e-vafā ho gayā shikast
kis kis ko husn se hai gilā dekhte chalo
'dānish' ko zid hai dair o haram bhī sahī magar
kis ko milā hai in kā patā dekhte chalo
mausam se rang-o-bu hain KHafa dekhte chalo
ye kya chali chaman mein hawa dekhte chalo
ambar har taraf hain andheron ke ye durust
shayad nahin ho aab-e-baqa dekhte chalo
taskin-e-sumbul-o-gul-o-lala ke waste
kya de rahi hai baad-e-saba dekhte chalo
jitne the jaan-nisar-e-chaman baad-e-subh-e-nau
kuchh ajr bhi kisi ko mila dekhte chalo
asnam-e-zar ke panw mein Dale hue jabin
kitne hain bandagan-e-KHuda dekhte chalo
kis kis ka e'timad-e-wafa ho gaya shikast
kis kis ko husn se hai gila dekhte chalo
'danish' ko zid hai dair o haram bhi sahi magar
kis ko mila hai in ka pata dekhte chalo
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 108)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.